Duration 7:50

Mir Hassan Mir | Ya Imam e Raza | Manqabat Wiladat e Imam Ali Raza 2020 | 11 Zilqad | Status,Lyrics

450 watched
0
17
Published 30 Jun 2020

11 Zilqad Manqabat 2020 - Mola Raza Manqabat 2020 - Manqabat Imam Raza 2020 - Ya Imam e Raza With Lyrics - Mir Hassan Mir - Birthday of Imam Reza (as) ☆ On the Auspicious Occasion Of 11 Zilqad Amad e Mola Raza (as) ☆ ------------------------------------------------------- Recited | Mir Hassan Mir Manqabat Title | Ya Imam e Raza(ع) Kalam | Mir Hassan Mir Composition | Mir Hassan Mir Edit By | Sibtain Haider Anjuman | Saqqa e Sakina Production | Baali Sakina ------------------------------------------------------- ● Manqabat Lyrics ● Ya Imam e Raza, ya Imam e Raza..(4) Har nafas har gharri, mere dil se yahi aa rahi hai sadaa.. Ya Imam e Raza, ya Imam e Raza..(4) 1. Teri azmat pe bhala kyu na dalaalat banta sher qaleen ka kis tarha na zinda hota hai haqeeqat yahi, teri marzi me hi, hai khuda ki raza Ya Imam e Raza, ya Imam e Raza..(4) 2. Ghair mumkin ko yu hote hue dekha mumkin jaagti ankho se jannat me guzare kai din usko kya ho yaqee, jisne dekha nahi, kabhi roza tera 3. Rabt kesa ye mere zehn me aaya hai abhi jaise gehware ne fitrus ko shifa baati thi wese hi rozo shab, baat ta hai shifa, tera sehne shifa Ya Imam e Raza, ya Imam e Raza..(4) 4. Ab ke mashhad se jo palta hu to mere mohsin saans lena mujhe acha nahi lagta lekin fir bhi hai ye suku, mai kahi bhi rahu, dil wahi hai mera Ya Imam e Raza, ya Imam e Raza..(4) 5. Kese samjhega zamana tere naukar ki hade tere maroof ne bandhe hai samandar ki hade badhte toofan ka, rukh badalta gaya, usne jab di sada Ya Imam e Raza, ya Imam e Raza..(4) 6. Puchne haal nakeerain jab aae mera maine dohraya jawaban jo qaseeda tera wajd me aake fir, wo bhi kehne lage, mai bhi kehne laga Ya saree ar-Riza..(4) 7. Meri is waqt tere darr pe nazar hai maula aur tujhe meri musibat ki khabar hai maula dur uftaad kar, meri imdaad kar, tu hai mushkil kusha Ya saree ar-Riza..(4) 8. Ilteja aap se karta hu imam e hashtum unke sadqe me jinhe kehte hai masuma e qum jo pareshan hai, jald kardijiye, uski hajat rawa Ya saree ar-Riza..(4) 9. Jiteji jaan se apni mai guzar jaunga jald mashhad na bulaoge to mar jaunga ae imam e ghareeb, tum ho mere tabeeb, jald kar do dawa Ya saree ar-Riza..(4) 10. Apne is meer ko anmol banade maula mujhko is daur ka behlol banade maula mai azadar hu, nakhsh bardar hu, tere khuddam ka Ya Imam e Raza, ya Imam e Raza..(4)

Category

Show more

Comments - 1